Kuch Toh Majburiya Rahi Hongi



Kuch to majburiya rahi hongi yuhi koi bewafa nahi hota tatol kar dekho apne dil ko fasla bewaja nahi hota…
`
Teri berukhi ko bhi rutba diya humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe; aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne…
`
Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte…
`
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha….
`
Pass aakar sabhi door chale jate hain, Akele the hum akele reh hi jate hain Is dil ka dard dikhayein kise Marham lagane wale hi zakm de jate hain…