MERI JAAN

Taarif-E-Maashooq
Khil Ti Kali Ki Tarah Hai Muskaan Uski
Udti Titli Ki Tarah Hai Chaal Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Behti Jheel Ki Tarah Aankhein Uski
Jhool Ti Shaqaon Ki Tarah Hai Baahein Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Ajab Si Sheereeni Hai Baatoan Me Uski
Ghazab Si Mehek Hai Saansoan Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Machal Utha Hai Dil Jab Se Dekhi Hai Tasveer Uski
Mehek Utha Hai Gulshan Khushboo Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khil Uthi Hai Tabassum Ruksaroan Pe Uski
Mil Gayi Hai Taqdeer Gulzaroan Se Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Jal Uthi Hai Shama Roshni Se Uski
Khatm Hui Hai Tanhaai Mehfil Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Dil Me Basata Main Tasveer Uski
Ban Gaya Hun Khud Taqdeer Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Milti Nahi Fursath Yaadon Se Uski
Rehta Hoon Masroof Baaton Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khud Ko Khone Laga Hoon Baatoan Me Uski
Lut Ne Laga Hoon Chahon Me Uski
Main To Bas Itna Kahunga Ke Meri Jaan Me Basti Hai Jaan Uski
Khatm Hua Dard-E-Dil Dekh Ke Soorat Uski
Sang-E-Marmar Ki Tarah Hai Moorat Uski