Khushiyan Mili To Muskura Na Sake



Khushiyan mili to muskura na sake
Gum mile to aansu baha na sake
Zindagi ek raaz hai yaron
Humne unhe chaha magar pa na sake
`
Kanch ki khwaish thi patthar pane ki
Ek pal mein hi toot ker bikhar jane ki
Gum na tha use toot jane ka
Sirf khawaish thi apne hazar tukdo mein
Yaar ki tasveer basane ki
`
Kabhi karta tha mein tarif
Tere husan ki teri adaon ki
Aaj likhta hu mein shayari
Tere sitam ki teri bewai ki
`
Kon kehta hai ke patthar ke sine mein dil nahi hota
Ager aisa hota to patthar ka bhagwan nahi hota
`
Chaha hai tumhe itna ke chahat ko bhi fursat nahi milti
Kahi or apna aashiyana banane ki
Kya karu mitaye nahi mitti yadein teri
Bahut koshish ki sanam mene tujhe bhool jane ki