Bachpan Ka Zamana Tha



Ek bachpan ka zamana tha, Khusiyo ka khazana tha,
Chahat chaand ko paane ki, dil titli ka diwana tha,
Khabar na thi kabhi subah ki aur na hi shaam ka thikana tha,
Thak haar ke aana school se, par khelne bhi jaana tha,
Dadi ki kahani thi, Pariyo ka fasana tha,
Barish me kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha,
Har khel me saathi the, Har rishta nibhana tha,
Gam ki juban na hoti thi, Na hi zakhmo ka paimana tha,
 
Rone ki wajah na thi, Na hasne ka bahana tha,
Ab nahi rahi wo zindagi, Jaisa BACHPAN KA ZAMANA tha..